Jab kisi vyakti ko kisi vishesh khaane wale padarth ya vatavaran se allergy ho aur bronchitis ke lakshan utpann ho jaaye to use allergic bronchitis rog ho sakta hai. Kaaran ka pata laga kar ilaj karne se laabh hoga.
Aksar dekhne mein aaya hai ki bacchon mein pratirodhak teeke dene ke 10-15 din baad bronchitis ki shikayat ho jati hai.
1. Yadi B.C.G ka teeka dene ke baad shikayat ho – Drosera 1M ki ek khuraak de
2. Bistar ki garmaahat, bread, chach, egg, fish, maans, chiknaai, cake, pastry, ice cream aadi khane se rog badhe to – Pulsatilla 6 or 30 ( din mein 3 baar )
3. Khaane ki gandh, shahad, maans, doodh, teeka lagne ke baad aur nam mausam mein rog badhe – Silicea 30 or 200 ( aavashyakta anusaar )
4. Thande paani se nahane, thandi hawa se, thande peene ki chiz, nashpati aur teeka lagne ke baad rog vridhhi – Psorinum 200 or 1M ( aavashyakta anusaar )
5. Teeka lagne ke baad, nam mausam mein, apple khaane, beer peene, fish ya pyaaz khaane aur chaai peene se rog vridhhi – Thuja 200 or 1M ( aavashyakta anusaar )
6. Apple, patta gobhi, thanda khaane, fish, fruit, aaloo khaane, aur nam mausam mein rog vridhhi – Natrum sulph 200 or 1M ( aavashyakta anusaar )
7. Kela khane, halki si thandi hawa lagne se, raat ke samay baat karne se rog vridhhi, sir aur shareer ko kapde se dhankne par raahat mile – Rumex 30 ( din mein 3 baar )
8. Khasre ke baad, garam kamre mein balgum zyada bane, double roti khaane aur subah 2 se 4 ke samay rog vridhhi – Kali carb 30 ya 200 ( aavashyakta anusaar )
9.┬аThandi hawa mein balgum zyada bane, acid, alchohol, aur thande khaane aur neend se uthne ke baad rog vridhhi – Lachesis 200 ya 1M ( aavashyakta anusaar )
10. Thande mausam mein, kuch kaam karne ke baad, garm kamre mein jaane par, thode mehnat karne se rog vridhhi – Ammonium carb 30 ( din mein 3 baar )
11. Thandi, pachua hawa, Khatti chiz aur nam hawa se rog vridhhi – Hepar sulph 30 ya 200 ( aavashyakta anusaar )
12. Coffee ki gandh, kheera-kakdi khane, doodh, achaar, aur pollution se rog vridhhi –Sulphurosum Acidum 30 ( din mein 3 baar )
13. Saans phoolne mein, mal tyaag karne se araam aye, dhool se rog vridhhi – Pothos foetidus 6 ya 30 ( din mein 3 baar )
Bacillinum 1M, hafte do hafte mein ek baar, aavashyakta anusaar len. Biochemic medicine natrum mur 12x aur natrum sulph 12x dono ki 3-3 goliyaan din me 3 baar dene se faayda hota hai.