Khansi doosri kisi bimari ke karan ho sakti hai ya fir kisi bimari ke lakshan ke roop me ho sakti hai. kabj, gale ki nali me pradah, yakrit ki bimari, fefre ka pradah, sardi jukam me tej dawa khane se, balgam ka jam jana, aadi karno se yah rog ho sakta hai. Hamesha karan jankar ilaj karna chahiye.
Khansi do tarah ki hoti hai. Taral jisme balgam nikalta rahe aur sukhi khansi jisme balgam nahi nikalta.
Khansi Ka Homeopathic Dawa
Lakshan | Prastavit dawa aur Shakti |
Jab balgam dheela ho, chalte samay rogi hafne lage, jeebh safed ho. Lagatar ulti jaisa mehsus ho jo ulti ho jaane se bhi kam na ho. | Ipecac 30, Din me 3-4 baar |
Jab chaati me balgam bhara ho, per mushkil se nikle, jeebh per safed parat zama ho. | Antimonium tart 30, Din me 3-4 baar |
Jab khansi sone ke liye letne ke kuch der baad ya sone ke thodi der baad shuru ho. | Aralia racemosa 30, Din me 3-4 baar |
Jab khansi ke sath moti rassi jaisa balgam nikle. | Coccus cacti 30, Din me 3-4 baar |
Jab thandi hawa me saans lene se rog badhe. Garmi se ya sir dhakne se kam ho. Gale ke nichle hisse se khansi shuru ho. | Rumex 30, Din me 4 baar |
Thanda paani pine ki bahut iksha ho. Garm jagah se thandi jagah jaane se ya left karwat letne se rog badhe. Khansi kharkharahat ke sath vayu nali se shuru ho. | Phosphorus 30, Din me 2-3 baar |
Jab Pharynx me sujan hone se rog hua ho. Gale me jalan, khansne se muh laal ho jaye. chehre per laali, chehra tamtamaya hua, gale me dhakdhak ho rahi ho. | Belladonna 30, har 2 ghante baad |
Jab right tarah galkosh ki sujan se sukhi khansi ho. | Sanguinaria 30, Din me 3 baar |
Jab galkosh ki sujan ke sath gale se safed balgam nikle. | Kali mur 30, Din me 4 baar |
Jab mansik tanav se khansi ho. Jitna khanso, khansi utni hi badhe ( Virodhi lakshan ). Thuk nigalne me pareshani. | Ignesia 200, 3-4 khurak har 3 ghante baad |
Gala baithne ke sath khansi jisme peshab nikal jaye. Thanda pani pine se aaraam aaye. Saaf, khushk mausam me rog badhe. | Causticum 30, Din me 3 baar |
Jab khansi din me balgam wali aur raat me sukhi ho. Thandi hawa, thanda khana khane ya thanda paani pine se badhe. | Nux vomica 30, Din me 3 baar |
Jab peela badbudar, mithe swad sa balgam nikle. Chest me khaalipan aur kamjori muhsus ho. | Stannum met 30, Din me 3 baar |
Jab raat me bistar per letne ke baad swasnali me keede rengne jaisa ehsaas ho aur lagatar chink aaye | Capsicum 30, Din me 3 baar |
Jab khansi achanak tej se aaye jaise banduk se achanak goli chala di ho. | Corallium rubrum 30, Din me 3 baar |
Khanste hue chest me dukhan, hath se dabane se aaraam aaye. Pyaas jyada lage, hilne dulne se rog badhe. | Bryonia 30, Din me 3-4 baar |
Jab uper wale saare lakshan ho per jeebh khushk na ho. | Eupatorium perf 30, Din me 4 baar |
Khansi sukhi ya ghargharahat wali, balgam ke sath jo thandi cheez khane se badhe aur garm cheezon ke lene se aaraam aaye. | Hepar sulph 30, Din me 3 baar |
Jab muh se ya naak se chipchipa taar sa khichne wala safed balgam aaye. | Kali bichromicum 30, Din me 4 baar |
Jab khansi shaam se 4 se 8 baje ke bich jyada ho. Garm khane ka mann kare. | Lycopodium 30, Din me 3 baar |
Tej khansi, aisa lage jaise sir aur chest fat jayenge, raat me bistar ki garmi se badhe. Muh me laar badh jaane ke bawjood pyaas jyada lage. Muh se badbu aaye. | Merc sol 30, Din me 3 baar |
Jab gale aur naak se hara, peela balgam aaye. | Kali iodide 30, Din me 3 baar |
Jab khansi ki aawaaz siti bajne ki aawaaz jaisi ho. | Spongia 30, Din me 3 baar |
Sukhi ya tar khansi, balgam peela. Swad aur pyaas na rahe. Thandi hawa me acha lage. | Pulsatilla 30, Din me 4 baar |
Sone ke baad khansi aaye, gale aur chest per kapda tak acha na lage. Balgam nikalne se aaraam aaye. | Lachesis 30, Din me 3 baar |
.
Dekh rekh : – Garm pani pina chahiye, gale me garm kapda lapete rahna acha rahta hai. Germ milk ka sewan karen. Jyada kamjori aane per soop den. Raat me sote samay Shahad ke sath adrak ka ras lene se poorane khansi, jukam ke rogo me bahut labh hota hai. Sardiyon me aanwale ka murabba bhi labh deta hai.