Is rog ko aam bol chaal mein kukkur khansi kehte hain. Is khansi mein larynx mein soojan ho jaati hai.
Lakshan (symptoms) :┬аGala roondh sa jaata hai, bukhaar, ghabraahat, saans band ho jana, hawa ke liye chhatpataana, chehra laal peela pad jaana, gale ki nasen (nerves) phool jana, kuch samay baad croup ki si awaaz se saans aane lagta hai. Yeh 3 tarah ki hoti hai.
Ainthan se croup khansi ( Spasmodic Croup)
1. Bina thand lage kisi bhi wajah se achanak khaansi ki leher si aaye – Belladonna 30 (din mein 3 se 4 baar)
2. Jab rog subah 3 baje badhe, chaati mein khinchaav aur ainthan ho, paani peene se araam aaye – CUPRUM METALLICUM 30 ( din me 3 baar)
3. Jab rog subah 3 baje badhe, Pharynx mein khushki aur sui chubhne sa dard ho┬а – Kali carb 30 ( din mein 3 baar)
4. Jab rog subah aur thande ke samay badhe, dheela balgum ghadghadaye, khaansi ki wajah se dum ghute – Hepar Sulph 30 ( din me 3 baar)
5. Thand aur nahaane se rog badhe. Haath pair barf ki tarah thande ho – Calcarea carbonica 30 ( din mein 3 baar)
Thand lagne se Croup khaansi ( Catarrhal Croup)
1. Agar zukham khansi ke beech croup khansi ka daura pad jaye, khansi ki wajah se bura haal ho. Gale mein rukaavat, bukhar aur ghabrahat. Saans ki takleef aur hawa ke liye chhatpataana – pehle din aconite 200,┬а3 khuraak, doosre din spongia 200,┬а3 khuraak, teesre din Hepar Sulph 200,┬а3 khuraak.
2. Agar in teen dawaon mein se laabh naa ho, pyaas naa lage, rog subah-subah badhe. Thand mehsoos ho – Nux Vomica 30 ( din mein 3 baar)
3. Thodi thodi pyaas aur bechaini. Garam liquid peene┬аse araam aaye – Arsenic alb 30 (din mein 3 se 4 baar)
Gale mein jhilli ban jaane ke kaaran ( Membranous Croup)
1. Jab gale mein shleshma ki jhilli phans jaaye, kheenchne se dhaage jaisi lambi taar ki tarah bane, aasaani se na nikal sake – kali bich 30┬а(din mein 3-4 baar)