Is mein rogi achanak behosh ho jaata hai, jahaan aur jaisi bhi halat mein ho gir padta hai, munh se jhaag aane lagta hai, haath pair akad jaate hain aur jabda bhinch jaata hai.
1. Pyaar mein dhoka, darr, shok, aadi ke kaaran – Ignatia 200 ya 1M ( aawashyakta anusar )
2. Skin rog dab jane ke kaaran, daure se pehle chaati aur pet mein tanaav, daura padne par zubaan kat jaati hai, sir ek taraf ko jhuk jata hai, peshab nikal jata hai – Causticum 30 ( din mein 3 baar )
3. Rog ki leher ghutno se ya ungliyon aur anghuthe se uthe aur phir pet ke nichle hisse tak jaye, rogi achanak daura padne ke kaaran cheekh ke gir padta hai, daure ke baad so jata hai – Cuprum met 30 ( din mein 3 baar )
4. Jab daura neend ke dauran aaye, rog ki leher naabhi ke aas paas se shuru ho, poornima ko ya uske aas paas daure aaye – Silicea 1M ( 15 se 20 din mein ek bar )
5. Mote logon mein darr ke kaaran daure jo ki poornima ke aas-paas aaye, rog ki leher naabhi ke paas se upar uthe aur ainthan badhti jaye, daure raat ke samay zyada aaye –Calcarea carb 1M ( 12 se 20 din mein ek baar )
6. Hastmaithun ya zyada virya nikalne ke kaaran daure, rog ki leher naabhi ke paas se shuru ho, rogi behosh ho jaye – Bufo rana 200 ya 1M ( 10 se 15 din mein ek baar )
7. Jab daura subah ke samay 2-3 hafte baad aaye – Sepia 200 ya 1M ( 10 se 15 din mein ek baar )
8. Bachhon mein kisi khas rog ke dab jaane se is rog ki shuruaat ho, uttejna se rog badhe –Belladonna 30 ( din mein 3 bar )
9. Jab daure achanak aur jaldi-jaldi aaye, kisi bhi mamuli kaaran jaise darr, hasthmaithun aadi se daure aane lage, mirgi jisme pehle se koi aabhas na ho – Artemisia vulgaris Q ya 6┬а( din mein 3 baar )
10. Jab shareer achanak akad jaye aur ang pakadne lage, iske bad kafi kamzori aa jaye, jabde akad jayen, darawne pann ke sath chehra, hath pair ya phir poora shareer vikrit ho jaye, rogi achet ho jaye, zara se choone, awaaz dhamak ya gati se daure ki shuruaat ho –Cicuta virosa 6 ya 30 ( din mein 3 bar )
11. Chidh chidhe mijaaz rogi jo aksar kabj se peedit ho, daura jisme rogi sachet ho – Nux vomica 30 ( din mein 3 bar )
12. Daura chetna ke sath aaye, tez roshni se daure ki shuruaat ho – Stramonium 200 ya 1M ( avashyakta anusar )
Savdhaniya :
1. Daure ke dauran rogi ko muh ke dawara kuch khaane ya peene na de. Daura padte samay ya daure ke dauran rogi ke muh mein koi cheez jaise chammach aadi na phansaye.
2. Rogi ko karwat ke bal litaayen jis se ki jeebh andar ki or na gire, aisa karne se shwaasnali mein zyada laar bharne ka khatra bhi kam rahega jab tak rogi ko chetna naa aaye uske sath rahe, zaroorat ho to rogi ko turant hospital le jayen.