Khoon mein eosinophil ki sankhya badh jaane ko eosinophilia kehte hain. Is rog ke anek kaaran ho sakte hain, jaise dama, skin rog, allergy, bukhaar, tropical eosinophilia aadi.
1.┬аBalgum mushkil se nikle, virodh se gussa aye, saath mein thyroid ki samasya ho –┬аthyroidinum 200 ya 1m, aavashyakta anusaar
2.┬аRog ke karan dum sa ghute, saans lene mein pareshaani ho, gale ke chaaron or zara sa bhi dabav sehen na ho, thanda pey, sirka ya koi khatti cheez khane se aur sone ke baad rog badhe – lachesis 30 potency me ( din mein 3 baar )
3. Jab rogi ko sath mein paachan ki gadbad bhi ho – Histamine 200 ya 1M, avashyakta anusaar
4.┬аThand lagne se barsaat ya nam mausam mein saans lene me mushkil ho, paani mein ugne wali khaadya padaarth jaise chawal, kela aur singhaada khane ke baad rog badhe – Natrum sulph 6 ya 30 ( din mein 3 baar )
5.┬аSaans lete samay kasht ke saath saay-saay ki awaz aaye, dheela sa balgum nikle, zara si bhi thand lagne se rog badhe, rogi sardi ya touch karne ke prati atyant samvedansheel ho – Hepar sulph 6 ya 30 ( din mein 3 baar )
6.┬аKhaansi aane se pehle saans lene mein mushkil ho, gale mein susuraahat, chaati ke nichle hisse mein sui chubhne jaisa dard, thanda pani peene ki ichha, khaanse aur chalne phirne se rog badhe, laitne aur garm pey se ghate – Cassia sophera Q ya 30 ( din mein 3 baar )
Doosri important dawayein :┬аArsenic alb, bacillinum, ipecac, medorrhinum, phosphorus, silicea, syphilinum etc. Doodh mein thyroid granthi ka secretion hota hai is liye doodh ka parhez karne se laabh hota hai.