Head, gaal aur naak ki haddiyon ke andar ke bhaag mein sujan aur shleshma jama hona. zukam bigad jaane par is jagah mein balgum ya mucous jama ho jaata hai, jis se in haddiyon mein dard hota hai. Isi ko Sinusitis kehte hain.
Lakshan : Is rog mein zukam aur sir dard ke mile jule lakshan rehte hain.
1. Rogi thandi hawa ke prati samvedansheel ho, sir ko dhak kar rakhna chaahe, naak aur aankhon ke upar dard ho – Silicia 1M (hafte mein ek baar )
2. Jab balgum thand se badhe aur rassi ki tarah khinchne wala ho – Kali bich 30 (din mein 4 baar )
3. Jab rog right taraf zyada ho – Sanguinaria 30 or 200 ( aavashyakta anusaar )
4. Jab rog left taraf zyada ho – Spigelia 30 or 200 ( aavashyakta anusaar )
5. Jab sharir ke thanda ho jaane se rog badhe, chipchipa peele rang ka balgum naak se gale mein gire – Sumbul 30 ( din mein 3 baar )