Swas nali ke pradahit hone se sardi hua karti hai. Jab kewal naak ki shaleshmik jhilli me pradah hota hai to sardi hoti hai aur jab naak aur gale dono me sardi lage to ” sardi bukhar” ho jata hai.
Karan : varsha me bhigna, sardi lagna, der tak bheege kapde pahne rahna, ekaek paseene ki halat me hawa lag jaye, badhazmi, aadi.
Lakshan : sharir me susti, badan me angraiyan, jamhai ana, sir me dard ya bharipan, naak se pani aana, aankhen lal, chink aana, aankhon se pani aana, khansi, bukhar, bhook kam ho jana, aadi.
Rog ki pahli avastha me homeopathy dawa
Lakshan | Prastavit dawa aur Shakti |
khas kar jab sukhi thandi hawa lag kar rog aaya ho; thandak mehsus ho, sir dard, aankhon me paani, chink aaye, sukhi khansi, bechaini aur bhay, khuli hawa me acha lage. | Aconite 30, 3-4 khurak din bhar den. |
Lagatar chink aaye, garm kamre me jaane se badhe, naak se pani ki tarah ka jalanyukt sraw, sirdard, khansi aur aawaaz baithi hui, aankhen sujhi hui aur aankhon se paani aaye to jalan paida na kare, khuli aur thandi jagah per acha lage. | Allium cepa 30, 2-3 ghante ke antar se den. |
Naak se zakhm kar dene wala sraw, aankh aur naak me jalan, bechaini, thodi-thodi der me thoda-thoda paani pine ki iksha, kamjori, bukhar aur sir dard. Sabhi lakshan garmi aur garm cheezon ke upyog se kam hote hain. | Arsenic alb 30, 2-2 ghante ke antar se den. |
Bahne wala jukam, aankhon se har pal jalan karne wala sraw, bechaini, chehra garm parantu badan thanda rahta hai, thand lagti hai; garm kamre me aur shaam me rog badhta hai. | Euphrasia 30, 2-3 ghante ke antar se den. |
Cheenk ke sath naak bahna, maatha lal, dard bhara aur aankhon se paani aana. | Sabadilla 30, din me 3-4 baar. |
Jalan yukt saraw itna ki upri honth bhi kat jaye, naak sraw se bhari hone ke karan rogi ko saans bhi muh se leni pade. | Arum triphyllum 30, din me 3-4 baar den. |
Gale me dard, sir me dard, chehra tamtamaya hua, nind gayab, khansi, jukam. | Belladonna 30, din me 3-4 baar den. |
Kamar me thand, sir per khichaw, bharipan, cheenk, nazla girna, sraw itna tikha ki naak ke nathune laal hokar dukhne lage, sharir me susti. Thand ke sath jor se peshab aaye jisse sir halka mehsus ho. Mausam pariwartan ke samay hone wale jukam ki khas dawa. | Gelsemium 30, din me 3-4 baar. |
Cheenk aur nazla, aawaaz baithi hui. Chaati me dard, sharir aur haddiyon me bahut dard. | Eupatorium perf 30, din me 3-4 baar. |
Rog ki doosri avastha me homeopathy dawa
Lakshan | Prastavit dawa aur Shakti |
Jab naak se gadha peela ya hara, chipchipa balgam nikle. | Kali Bichromicum 30, din me 3-4 bar den. |
Hara peela sraw, swad na rahna, khuli hawa me acha lagna. Rog lakshan ka badalte rahna. | Pulsatilla 30, din me 3-4 bar den. |
Naak se peela gadha sraw, khas kar naak ke pichle hisse se shaleshma gale ke andar gire, kabj ho. pet aur chaati ke bich khalipan aur andar ki taraf khichaw mehsus ho. | Hydrastis 30, din me 3-4 bar den. |
Nazla jukam. Tej sir dard ke sath aur hilne dulne se badhe. Naak kafi samvedansheel, rogi ek dam shant aur chup chap pada rahe. Rog ke samay chidchidapan. | Bryonia 30, din me 3-4 baar |
Gaadhi shaleshma ke sath jukam, naak ke andar zakhm, naak ki haddiyon me sujan, sraw mawad ki tarah hare rang ka. pyaas, sir dard ho aur raat me paseena aaye, aur hath pair me dard ho. garm aur sard dono se rog badhe. | Merc sol 30, din me 3-4 bar |
Rogi ko jukam ki shikayat aksar bani rahe. naak se lagatar paani bahe.tatha tez pyaas lage, kabj ho. Rog surya ke sath ghate badhe. | Natrum mur 6x ya 30, din me 3-4 baar. |
Jab aksar sardi jukam rahe, rogi mota aur thulthula awam thandi prakriti ka ho. Sir aur chehre per jyada paseena aaye. | Calcarea carb 200 ya 1M * |
Subah ke samay rog badhe, nahane ka mann na kare. Nahane se rog badhe. | Sulfur 200 ya 1M * |
Jab rogi ko bar bar sardi jukam hota ho, kutte ya janwar se dare. | Tuberculinum 200 ya 1M * |
jab chaati me sardi ke karan hui balgam se ghad ghad ho, thode se thand se rog badhe. | Hepar sulph 30, din me 3 bar. |
* Jis din ( star mark ) dawaon me se koi den us din aur koi dawa na den baki din doosri chuni hui dawa din me 3-4 baar de sakte hain.